usne sukuut-e-shab meN bhii apnaa payaam rakh diyaa hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa meN aam thii maiN ne bhii ik chiraaG saa dil sar-e-shaam rakh diyaa shiddat-e-tishnagii meN bhii Ghairat-e-maikashii rahii us ne jo pher lii nazar maiN ne bhii jaam rakh diyaa dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm haiN maiN ne to sab hisaab-e-jaaN barsar-e-aam rakh diyaa us ne nazar nazar meN hii aise bhale suKhan kahe maiN ne to us ke paaNv meN saaraa kalaam rakh diyaa aur “Faraz” chaahiiye kitanii muhabbateN tujhe ke maaoN ne tere naam par bachchoN ka naam rakh diyaaSourceThe script ran 0 seconds.
The script ran 0 seconds.