Share:
  Guess poet | Poets | Poets timeline | Isles | Contacts

Ahmad Faraz - hum bhi khud dushman-e jaaN Ahmad Faraz - hum bhi khud dushman-e jaaN
Language: som
Work rating: Low


hum bhi khud dushman-e jaaN thay pehle tum magar dost kahaN thay pehle ab wahaN khaak ooratee hai khizaaN phool hi phool jahaaN thay pehle ab jo deewar bunay baithay hain soorat-e mooj rawaaN thay pehle kuch sharabee keh hein ab rah nasheeN ronaq-e buzm-e maghaaN thay pehle hum keh hein aaj ghobaar puss-e ro munzil hum sufraaN thay pehle ab kise waza-e mohabbat ka khayal aur hi loag yahaan thay pehle ab to khudh per bhi nahin zaam-e wafa tujh se hum shikwa kinaaN thay pehle bun gya kafla chaltay chaltay wurna tunha hi rawaan thay pehle dolat-e ghum tau moyashar thi Faraz itne muflis bhi kahaan thay pehle
Source

The script ran 0.002 seconds.