Share:
  Guess poet | Poets | Poets timeline | Isles | Contacts

Ahmad Faraz - Ranjish hii sahii Ahmad Faraz - Ranjish hii sahii
Language: hau
Work rating: Medium


ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa aa phir se mujhe chhoR ke jaane ke liye aa pahle se maraasim na sahii phir bhii kabhii tau rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa kis kis ko bataayeNge judaa’ii kaa sabab ham tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa ek umr se huuN lazzat-e-giriyaa se bhii mahruum ai raahat-e-jaaN mujh ko rulaane ke liye aa ab tak dil-e-Khush-feh’m ko tujh se haiN ummiideN ye aaKhrii shammeN bhii bujhaane ke liye aa
Source

The script ran 0.001 seconds.