Share:
  Guess poet | Poets | Poets timeline | Isles | Contacts

Muhammad Iqbal - Taraana-e-MilliMuhammad Iqbal - Taraana-e-Milli
Language: hau
Work rating: Low


Cheen-o-Arab hamara, Hindustan hamara Muslim main hum, watan hai sara jahan hamara Tauheed ki amanat senon main hai hamarey Asan nahin mitana naam-o-nishaan hamara Duniya kay bu’t kadon main, wo pehla ghar Khuda ka Hum uss kay pasban hain, wo pasban hamara Tagho’n Ke saaye main hum Pal kar Jawan Huway Hain Khanjer Hilal ka hay Komi Nisha,n hamara Maghrab Ki wadiyo,n main goongi aza’n hamari Thamta Na tha kisi say sail-e-rawa’n hamara Baatil say dabney waley, aey Asman! nahin hum Sou baar ker chuka hai Tu imtihan hamara Ay gulsitan-e-undlus wo din hei’n yad tujh ko Tha tari dalyoo’n per jab ashyaa’n hamara Ay moj-e-Dajla tub hi pehchanti hey hum ko Ab tak hey tera derya afsana khwa’n hamara Ay arz-e-pak tari hurmat pe kat maray hum Hy khou’n tari ragoo’n may ab tak rawa’n hamara Salar-e-Karwan hai Meer-e-Hijaaz (PBUH) apna Iss naam say hai baaqi, aaram-e-jahan hamara Iqbal ka tarana baang-e-dara hai goya Hota hai jada paima, phir karwan hamara
Source

The script ran 0.001 seconds.