Share:
  Guess poet | Poets | Poets timeline | Isles | Contacts

Muhammad Iqbal - Masjid-e-QarMuhammad Iqbal - Masjid-e-Qar
Work rating: Medium


SILSILA-E-ROZ-O-SHAB NAQSH GAR-E-HADISAAT SILSILA-E-ROZ-O-SHAB ASL-E-HAYAAT-O-MAMAAT SILSILA-E-ROZ-O-SHAB TAAR-E-HAREER DO RAnG JIS SE BANAATI HAI ZAAT APNI QABAAY-E-SIFAAT SILSILA-E-ROZ-O-SHAB SAAZ-E-AZAL KI FUGHAAn JIS SE DIKHAATI HAI ZAAT ZER-O-BAM-E-MUMKINAAT TUJH KO PARAKTAA HAI YE, MUJH KO PARAKHTAA HAI YE SILSILA-E-ROZ-O-SHAB SAIRAFI-E-KAAINAAT TU HO AGAR KAM IYAAR, MAIn HOOn AGAR KAM IYAAR MAUT HAI TERI BARAAT, MAUT HAI MERI BARAAT TEREY SHAB-O-ROZ KI AUR HAQEEQAT HAI KYA EK ZAMAANEY KI RAU JIS MEIn NA DIN HAI NA RAAT AANI WO FAANI TAMAAM MO`EJIZAA HAAYE HUNAR KAAR-E-JAHAAn BE-SABAAT! KAAR-E-JAHAAn BE-SABAAT!   AWWAL-O-AAKHIR FANAA, BAATIN-O-ZAAHIR FANAA NAQSH-E-KUHAN HO KE NAU, MANZIL-E-AAKHIR FANAA   HAI MAGAR IS NAQSH MEIn RAnG-E-SABAAT-E-DAWAAM JIS KO KIYA HO KISI MARD-E-KHUDAA NE TAMAAM MARD-E-KHUDAA KA AMAL ISHQ SE SAAHAB FAROGH ISHQ HAI ASL-E-HAYAAT MAUT HAI US PAR HARAAM TUnD-O-SUBAK SAIR HAI GAR CHEY ZAMAANEY KI RAU ISHQ KHUD IK SAIL HAI SAIL KO LETAA HAI THAAM ISHQ KI TAQWEEM MEIn ASR-E-RAWAAn KE SIWAA AUR ZAMAANEY BHI HAIn JIN KA NAHIEn KOI NAAM ISHQ DAM-E-JIBRAIL, ISHQ DIL-E-MUSTAFAA ISHQ KHUDAA KA RASOOL, ISHQ KHUDAA KA KALAAM ISHQ KI MASTI SE HAI PAIKAR-E-GUL TAAB-NAAK ISHQ HAI SAHBAA-E-KHAAM, ISHQ HAI KAAS-UL-KARAAM ISHQ FAQIH-E-HARAM, ISHQ AMEER-E-JUNOOD ISHQ HAI IBN-US-SABEEL, USKEY HAZAAROn MUQAAM   ISHQ KE MIZRAAB SE NAGHMA-E-TAAR-E-HAYAAT ISHQ SE NOOR-E-HAYAAT, ISHQ SE NAAR-E-HAYAAT   AYE HARAM-E-QARTABAA! ISHQ SE TERAA WAJOOD ISHQ SARAAPAA DAWAAM JIS MEIn NAHIEn RAFT-O-BOOD RAnG HO YA KHISHT-O-SAnG, CHAnG HO YA HARF-O-SAUT MO`EIJIZA-E-FUN KI HAI KHOON-E-JIGAR SE NAMOOD QATRA-E-KHOON-E-JIGAR SIL KO BANAATAA HAI DIL KHOON-E-JIGAR SE SADAA SOZ-O-SUROOR-O-SUROOD TERI FAZAA DIL FAROZ, MERI NAWAA SEENAA SOZ TUJH SE DILOn KA HUZOOR, MUJH SE DILOn KI KASHOOD ARSH-E-MO`ELLAA SE KAM SEENA-E-AADAM NAHIEn GAR CHEY KAF-E-KHAAK KI HAD HAI SAPAHR-E-KABOOD PAIKAR-E-NOORI KO HAI SAJDAA MUYASSAR TO KYA US KO MUYASSAR NAHIEn SOZ-O-GUDAAZ-E-SAJOOD KAAFIR-E-HINDI HOOn MAIn DEKH MIRAA ZAUQ-OSHAUQ DIL MEIn SALAAT-O-DUROOD, LAB PE SALAAT-O-DUROOD   SHAUQ MIRI LAI MEIn HAI, SHAUQ MIRI NAI MEIn HAI NAGHMA-E-ALLAH-HU MEREY RAG-O-PAI MEIn HAI   TERAA JALAAL-O-JAMAAL MARD-E-KHUDAA KI DALEEL WO BHI JALEEL-O-JAMEEL, TU BHI JALEEL-O-JAMEEL TERI BINAA PAAY-DAAR, TERI SUTOOn BE-SHUMAAR SHAAM KE SAHRAA MEIn HO JAISEY HUJOOM-E-NAKHEEL TEREY DAR-O-BAAM PAR WAADI-E-AYMAN KA NOOR TERAA MEENAAR-E-BULAND JALWAA GAH-E-JIBRAEEL MIT NAHIEn SAKTAA KABHI MARD-E-MUSALMAAn, KE HAI US KI AZAANOn SE FAASH SIRR-E-KALEEM-O-KHALEEL US KI ZAMEEn BE-HUDOOD, US KA UFUQ BE-SUGHOOR US KE SAMAnDAR KI MAUJ DAJLA-O-DANYUB-O-NEEL US KE ZAMAANEY AJEEB, US KE FASAANEY GHAREEB AHD-E-KUHAN KO DIYAA US NE PAYAAM-E-RAHEEL SAAQI-E-ARBAAB-E-ZAUQ, FAARAS-E-MAIDAAN-E-SHAUQ BAADAA HAI US KA RAHEEQ, TEGH HAI US KI ASEEL   MARD-E-SIPAAHI HAI WO, US KI ZA RAH LA-ILAHAA SAAY-E-SHAMSHEER MEIn USKI PANAH LA-ILAHAA   TUJH SE HUWAA AASHKAAR BAnDA-E-MOMIN KA RAAZ US KE DINOn KI TAPISH, US KI SHABOn KA GUDAAZ US KE MUQAAM-E-BULAND, US KA KHAYAAL-E-AZEEM US KA SUROOR, US KA SHAUQ, US KA NIYAAZ, US KA NAAZ HAATH HAI ALLAH KA BAnDA-E-MOMIN KA HAATH GHAALIB-O-KAAR AAFREEn, KAAR KUSHAA, KAAR SAAZ KHAAKI-O-NOORI NIHAAD, BAnDA-E-MAULAA SIFAAT HAR DO JAHAAn SE GHANI US KA DIL-E-BE-NIYAAZ US KI UMEEDEIn QALEEL, US KE MAQAASID JALEEL US KI ADAA DIL-FAREB, US KI NIGAH DIL-NAWAAZ NARM DAM-E-GUFTAGOO, GARM DAM-E-JUSTAJOO RAZM HO YA BAZM HO PAAK DIL-O-PAAK-BAAZ NUQTA-E-PARKAAR-E-HAQ, MARD-E-KHUDAA KA YAQEEn AUR YE AALAM TAMAAMWAHM-O-TILISM-O-MAJAAZ AQL KI MANZIL HAI WO, ISHQ KA HAASIL HAI WO HALQA-E-AAFAAQ MEIn GARMI-E-MAHFIL HAI WO   KAABA-E-ARBAAB-E-FUN! SITWAT-E-DEEN-E-MABEEn TUJH SE HARAM MARTABAT UNDALASIYOn KI ZAMEEn HAI TAH-E-GARDOn AGAR HUSN MEIn TERI NAZEER QALB-E-MUSALMAAn MEIn HAI AUR NAHIEn HAI KAHEEn AAH WO MARDAAN-E-HAQ, WO ARABI SHAH-SAWAAR HAAEL-E-`KHALQ-E-AZEEM`, SAAHAB-E-SIDQ-O-YAQEEn JIN KI HUKOOMAT SE HAI FAASH YE RAMZ-E-GHAREEB SALTANAT-E-AHL-E-DIL FAQR HAI SHAAHI NAHIEn JIN KI NIGAAHOn NE KI TARBIYAT-E-SHARQ-O-GHARB ZULMAT-E-EUROPE MEIn THI JIN KI KHIRAD RAAH-BEEn JIN KE LUHOO KE TUFAIL AAJ BHI HAIn UNDALASI KHUSH DIL-O-KHUSH IKHTALAAT, SAADAA-O-RAUSHAN JABEEn AAJ BHI IS DES MEIn AAM HAI CHASHM-E-GHAZAAL AUR NIGAAHOn KE TER AAJ BHI DIL-NASHEEn   BOO-E-YAMAN AAJ BHI ISKI HAWAAOn MEIn HAI RAnG-E-HIJAAZ AAJ BHI ISKI NAWAAOn MEIn HAI   DEEDA-E-AnJUM MEIn HAI TERI ZAMEEn AASMAAn AAH! KE SADYOn SE HAI TERI FAZAA BE-AZAAn KAUN SI WAADI MEIn HAI, KAUN SI MANZIL MEIn HAI ISHQ-E-BALAA-KHEEZ KA QAAFLA-E-SAKHT JAAn DEKH CHUKAA ALMANI SHORISH-E-ASLAAH-E-DEEn JIS NE NA CHHODEY KAHIEn NAQSH-E-KUHAN KE NISHAAn HARF-E-GHALAT BAN GAYI ISMAT-E-PEER-E-KANISHT AUR HUI FIKR KI KASHTI-E-NAZUK RAWAAn CHASHM-E-FRANSIS BHI DEKH CHUKI INQILAAB JIS SE DIGAR Gon HUA MAGHRABIYOn KA JAHAAn MILLAT-E-RUMI NIZAAD KUHNAA PARASTI SE PEER LAZZAT-E-TAJDEEDAA SE WO BHI HUI PHIR JAWAAn RUH-E-MUSALMAAn MEIn HAI AAJ WOHI IZTARAAB RAAZ-E-KHUDAAI HAI YE KAH NAHIEn SAKTI ZABAAn   DEKHIYE IS BAHR KI TAH SE UCHHALTAA HAI KYA GUnBAD-E-NEELOFARI RAnG BADALTAA HAI KYA WAADI-E-KUHSAAR MEIn GHARQ-E-SHAFAQ HAI SAHAAB LAAL-BADAKHSHAAn KE DHER CHHOD GAYAA AAFTAAB SAADAA-O-PUR-SOZ HAI DUKHTAR-E-DAHQAAn KA GEET ASHTI-E-DIL KE LIYE SAIL HAI AHD-E-SHABAAB AAB-E-RAWAAN-E-KABEER!* TEREY KINAAREY KOI DEKH RAHAA HAI KISI AUR ZAMAANEY KA KHWAAB AALAM-E-NAU HAI ABHI PARDA-E-TAQDEER MEIn MERI NIGAAHOn MEIn HAI USKI SAHAR BE-HIJAAB PARDAA UTHAA DOn AGAR CHAHRA-E-AFKAAR SE LA NA SAKEYGAA FIRAnG MERI NAWAAOn KI TAAB JIS MEIn NA HO INQILAAB MAUT HAI WO ZINDAGI RUH-E-UMAM KI HAYAAT KASHMAAKSH-E-INQILAAB SOORAT-E-SHAMSHEER HAI DAST-E-QAZAA MEIn WO QAUM KARTI HAI JO HAR ZAMAAn APNEY AMAL KA HISAAB NAQSH HAIn SAB NA-TAMAAM KHOON-E-JIGAR KE BAGHAIR NAGHMA HAI SAUDAA-E-KHAAM KHOON-E-JIGAR KE BAGHAIR English Translation THE MOSQUE OF CORDOBA The cycle of day and night [is] the engraver of events. The cycle of day and night [is] the essence of life and death. The cycle of day and night is a two-colored thread of silk with which the being weaves its attire of traits. The cycle of day and night [is] the lamentation of the musical-instrument of the origin through which the being shows the vicissitudes of possibilities. It tries you, it tries me; the cycle of day and night is the examiner of the cosmos. If you`re impure, if I`m impure [then] it leads to your funeral procession, it leads to my funeral procession. What else is the truth of your days and nights; a surge of the time sans day and night. All the marvels of the skills are transient; the existence of world is ephemeral! The existence of world is ephemeral! [The fate of] the beginning and the end is death, [the fate of] the unseen and apparent is death. Be it an antiquated imprint or the latest one, its last destination is death. Yet there exists a hue of eternity in this imprint; the one that has been completed by some man of God. The actions of the man of God get accelerated with [the help of] love. The essence of life is love; death is forbidden for it. hough the gush of the time is intense and fast love itself is a tempest that restrains [other] tempests. In the calendar of love, besides the contemporary age, |there`re other ages too that don`t have names. Love is the mainstay of Gabriel, love is the heart of Mustafa. Love is the Messenger of God, love is the message of God. The flower looks dazzling because of the intoxication of love. Love is the undiluted wine, love is the wine-cup of a munificent drinker. Love is the jurist of the Shariat, love is the commander of the army. Love is the traveler because of which it passes through thousands of stages. The lifeline streams out of the plectrum of love. The radiance of life is due to love; the fire of life is because of love. O Mosque of Cordoba! Your existence [too] is because of love. Love is infinite time that`s beyond the cycle of transient time. Be it painting, architecture, music poetry or calligraphy, all these arts thrive on the intensity of love! The intensity of love turns a stone into a heart [and] it`s love that bestows depth of feeling, exhilaration and melody to the voice. Your environ is charming, my songs are poignant; you make the hearts bow before God, I make the hearts capacious. The bosom of man isn`t inferior to the empyrean throne of God though his body is made of earth and is mortal. Though the angels [also] prostrate before God but their prostration lacks poignancy. [Though] I`m an infidel from India,  behold my earnestness [that] my heart prays benison for the Prophet, my lips do the same. The zeal is in my tune, the zeal is in my flute; the hymn of God is in my essence. Your grandeur and beauty manifests the man of God; he too is eminent and handsome, you too are eminent and handsome. Your foundation is stable, you`ve countless pillars [which look like] the rows of palm trees in the oasis of Syria. The radiance of Sinai valley is spread over your nooks and corners; this tall minaret of yours is the place of manifestation for Gabriel. The pious Muslim can never be eliminated, for his calls for prayers reveal the mysteries of Moses and Abraham. His land is limitless, his sky is boundless; the surge of his sea is spread over Tigris, Danube and Nile. His reigns have been awe-inspiring, his tales have been extraordinary; it was he who commanded the antiquated epoch to perish. He`s the cupbearer to those who have taste, he`s the cavalier of the field of passion; his wine is pure, his sword is of high trait. He`s the soldier whose armor is [the belief in] one God; under the shadow of swords his refuge is [the belief in] one God. Through you the mysteries of the pious Muslim, the warmth of his days, the poignancy of his nights, his lofty position, his exalted thoughts, his exhilaration, his passion, his humility, his dalliance, have been revealed. The hand of God is the hand of the pious Muslim, which is triumphant, effectual, resourceful [and] skillful. [He possesses] the traits of both man and angel and the attributes of the Lord; his heart, though carefree, is richer than the two worlds. His expectations are few, his objectives are sublime; his style is irresistible, his sight is captivating. [He`s] soft while conversing, passionate while in action; be it the battlefield or a social gathering [he`s always] pious and orderly. His faith is the focal point of Truth and the rest of the cosmos is illusion, sorcery and unreal. He`s the destination of reason, he is the output of love; he`s is the warmth of the assemblage in the circuit of cosmos. You`re the Mecca of the designers, the apostle of the grandeur of Islam; by virtue of you, the land of Spain has become as hallowed as that of Mecca. If any other model, as exquisite as you, exists in this world it is in the heart of a Muslim and nowhere else. Alas! Those men of Truth! Those Arab cavaliers! The possessors of `inspiring character`, the followers of truth and faith; their rule has revealed this simple mystery that the State ruled by the faithful is pro-poor, not monarchical; their insights have trained the East and the West; their reasoning was the guiding force in the darkness of Europe. It is because of their blood that, even today, the Spanish people are friendly, hospitable, simple and handsome. In this country, even now, [people`s eyes] look like those of gazelle and, even today,  the arrows of their sights are enchanting. The aroma of Yemen, even today, is mixed in its winds; the tunes of Hejaz, even now, are fused in its songs. In the eyes of the faithful your land`s estimation is equal to that of sky. Alas! Your environ has not heard the call for prayer for centuries. In which vale, at what destination, the strong caravan of the zealous lovers [of God] got stuck up. Germany has witnessed the Reformation that has erased all the imprints of antiquated faith; because of which the piety of the Pope has become an erroneous term and the subtle ferry of reason sailed on its course. France too has experienced the Revolution that has changed the world of the Westerners. The Roman nation that has been submerged in retrogressive culture has, once again, become powerful because of the new ideas. The soul of the Muslim nation too is experiencing similar unrest; what lies ahead is a mystery of God that I can`t reveal. Wait and see what spurts out of the seabed; the blue dome [of sky] changes to what colour. In the vale, surrounded by the mountain range, the cloud is swallowed up by the redness; the sun has set leaving behind the mounds of rubies from Badakhshan. The song of the farmer`s daughter is simple and poignant; youth is like a tempest to the vessel of heart. O stream of Kabeer! On your bank someone is perceiving the dream of some other age. [Though] the coming world is still covered with the curtain of destiny, before my eyes its beginning is uncovered. If I remove the curtains from the face of the [future] thoughts the Western people won`t face up to my songs. The life that has no place for revolution is death [for] the spirit of the nation lies in struggle and revolution. The nation, which takes stock of its actions in each age, develops into a sword in the hand of death. All the imprints are incomplete in the absence of love and endeavor; melody is like a crude insanity in the absence of love and endeavor
Source

The script ran 0.002 seconds.